Sunday, 20 March 2011

MHBT ROOG DAITI HAI.....

Abhi to raat baki hai
ajub sa khauff taari hai
chalo koch baat kartay hain
...basar yai raat kartay hain
suno ! koch loog kahtay hain
>>>MHBT ROOG DAITI HAI<<<
namii rehti hai ankhon main
yai aisa soog daiti hai
isay jis nai bhi apnaya
kahan os nai sukoon paya
kabhi pathar barastay hain
kabhi lehrain dabooti hain
kabhi yai jan lai jaii
kabhi emaan lai jaii
najanay koon porii shub
pus-e-dewaar roota hai

mujay os paar jana hai
mujhay izn-e-safar day do
mera her zakhum rasta hai
najanay dard kaisa hai
mahjay shub bhur rulata hai
dil-e-weh_she tujhay chahay
yai ankhain bus tujhay dhondain
hai marii ghazlain adhori hain
hai sabhi nazmain adhoori hain
marii shafaaf ankhon main
qayamat ka andhaira hai
maray tak-kiya k nechay ik
suhana khawab rakha tha
andharay main najanay kab
kisi nai roond daala hai
marii khushiyon ke gathrii ko
chura k lai gaya koi
marii ankhain bhi lay jao
sabhii sapnay bhi lay jao
marii ik sham day jao
woh mera naam day jao
maray dil ke kahani ko
koi anjaam dai jao
mujhay rastay pakartay hain
jahan hum sath chaltay hain
tumharay sath beetay pal
bhut baychain kartay hain
jo yaad aaon to laut aana
abhi ankhain hain rastay par
tera chahra marii ankhain
abhi tak sath rahtay hain
suno!tum bhi to kahtay ho
tumhain mujh sai mhbt hai
to tum bhi yonhe mujh ko
kisi din choor jao gay?
kisi din choor jao gay?

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

 

FX, Betfred, FX, poker, winner casino