Sunday, 20 March 2011

Ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa’n janaa’n !!!

Ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa’n janaa’n

yaad kiya tujh ko dilaaye’n tera paimaa’n janaa’n

youn hi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hai

kis qadar jald badal jaate hai’n insaa’n janaa’n

zindagi teri ataa thi so terey naam ki hai

ham ney jaisey bhi basar ki tera ehasaa’n janaa’n

dil yeh kehtaa hai k shaayad ho afsurdaa tou bhi

dil ki kiya baat kare’n dil tou hai naadaa’n janaa’n

awwal-awwal ki muhabbat k nashey yaad tou kar

be-piye bhii teraa cheharaa tha gulistaa’n janaa’n

aaKhir aaKhir tou yeh aalam hai k ab hosh nahi

rag-e-minaa sulag uthi k rag-e-jaa’n janaa’n

muddato’n sey yeh aalam na tawaqqou na umeed

dil pukaarey hi chalaa jaataa hai janaa’n janaa’n

ham bhi kiya saada thay ham ney bhi samajh rakhaa tha

Gam-e-dawraa’n sey judaa hai Gam-e-janaa’n janaa’n

ab k kuch aisi saji mehafil-e-yaraa’n janaa’n

sar-ba-zanu hai koi sar-ba-girebaa’n janaa’n

har koi apni hi awaaz sey kaa’np uThtaa hai

har koi apaney hi saaye sey hirasaa’n janaa’n

jis ko dekho wohi zanjeer-ba-paa lagtaa hai

shehar ka shehar hua daaKhil-e-zindaa’n janaa’n

ab tera zikr bhi shayad hi Gazal mai’n aaye

aur sey aur hua dard ka unwaa’n janaa’n

ham k rooThi hoi rut ko bhi manaa letey thay

ham ney deykha hi na thaa mausam-e-hijraa’n janaa’n

hosh aayaa tou sabhi Khawaab thay reyzaa reyzaa

jaisey urhtay howaay auraaq-e-pareshaa’n janaa’n



!!!!!!!!!!!!!

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

 

FX, Betfred, FX, poker, winner casino